Jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain....
Tum muskra k dekh lo bas itni si toh aas hain.....
Na daulat chahu na shauhrat,khush hu agar tu mere paas hain.....
jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain.....
jab mushkilo se hu ghira,man bhi niraash hain.....
Tu hi toh ek h bas mera ,tujh par hi toh vishwas hain.....
gam mein doobe is dil ko ek teri hi toh pyaas hain.....
jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain....
Sukoon milta tha jo teri meethi baaton mein......
Aj wohi sukoon khojta hu mein,un bhuli bisri yaadon mein..........
Yeh dil jinda h mera ,kyunki tujhse hi toh har saans hain.....
jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain.....
Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++"Safar-e-Ishq"
"Maa'n"
Meri ankhoon se.....
Mut pocho....
Karab ke sumandar ka
Bikherna hai kaisa
Bachpan mein jo sekhaya tha
Guriya ko sajana
Rait se gharwanday banana
Sabar ki char-deewari se
Ansoon se pyar ghondna
Maa'n sab janti ho tum
Meri ankhoon se....
Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain.....Jo log mere qad k barabar nahi aatay.....
Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe.....
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay...
Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,...
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay....
Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,...
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay....
Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN...
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay.....
Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++Allama Muhammed Iqbal
Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana.........................
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana....................
Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya......
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana....
Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye......
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana.....
Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani.....
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana.....
Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main.....
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana.....
Tere nigah se dil senon main kaanpte the.......
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana......
Raaz-e-haram se shayad �Iqbal� ba khabar hai.....
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana.....++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
No comments:
Post a Comment