s http://go.ad2upapp.com/afu.php?id=1103110 Perfect Sad Poetry : best urdu ghazal

Friday, May 2, 2014

best urdu ghazal

Wo Piyar Karta to

www.aanchal.com.pk
merybanjao.blogspot.com

Me sub qadrain luta deti wo aetbar karta to
Han me sub kuch gnwa deti agar wo piyar karta to

Udasi mujhy Is ki qatann Gawara na thi
Me ho jati gayal wo war karta to

Me chun chun phool barsati us par
Par mery naam koi bahar karta to

Ye chot sehna duswar to he lekin
Me har jati gar wo takraar karta to

best ghazal

Us Ne Ashfqa mizaji ko


Us ne ashfqa mizaji ko naya mor diya
Mujh ko paba zanjeer kia or chor diya

Us ne aanchal se nikali mery gam kashta kitab
www.itdunya.com
merybanjao.blogspot.com
Or chupky se muhabat ka wark mor diya

Hum Ko malum tha anjaam muhabat hum ne
Aakhri haroof se pehly hi qalam tor diya

best ghazal

Adhori batain jo kar gye ho


Adhori batain jo kar gye ho
mery dill main utar gye ho

kis ki chahat ka ye asar he
k reza reza bikhr gye ho

tum hi to ho jo hamary dill ki
hadon ko chu kar guzar gye ho

Hamara thamo gy hath kia tum
www.itdunya.com
merybanjao.blogspot.com
Abhi se dunyaa se der gye ho

Chaly gye ho nazar jhuka key
humain diwana sa kar gye ho

Bhul bethy ho aehd sary
Abhi se q tum muqar gye ho

Dhondty hy nazar ye tum ko
Aa bhi jao kidhar gye ho

best ghazal

Jaty jaty wo mujhko


Jaty jaty wo mujhko achi nishani de gya
Us se main kuch paa sakon aesi khani de gya

Us se me kuch paa sako esi umeed thi
Gham bhi wo shayed baray mehrbani de gya

Sab hawayn Le gya mery samandar ki koi
Or mujh ko ik karty badbaani de gya

Khair me piyasa rha Us ne itna to kia
Meri Palko ki qataron ko pani de gya

best ghazal

Kabhi Nazar to aa


Kabhi nazar to aa tasqeen iztarab to de
Meri khuli hoi aankhon ko koi khuab to de

Jawaz dhond na barson ki ranjishon ka
Magar qareeb aa kar tamshay ijtanaab to de

Kabhi to sang sada tor de skute wafa
kabhi wo khuab me aa kar dum siraab to de

Me zakham tshna labi se libat k ro lon gi
Na de sakon wafa qabar iztarab to de

Na cheen hum se yaq kona lazat tadbeer
Naseem msnd gull arsa habab to de

Bichar k milny me lazat shi magar naheed
Kabhi to wasal musalsal ka hi azab to de

best ghazal

Ye Kasur mera he


Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Ye qasur mera he k yaqeen kia he
Dill Teri Hi khatir rakh chor diya he


Ik tu hi he dolat meri
Hasil to mera

Kitni he muhabat tujh se
Be hisab wafa

Hasraton se barh kar apni
Chaha tujh hamesha

Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Koi dard raha na dill me
Na koi khala

Har khuahish pori hoi he tujhy paa jo liya
Dor mujh se ho na kabhi na
Karna ye ik ehsaa


Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

best ghazal

Gulabi se galon pe aansu k qatry



Gulabi se galon pe aansu k qatry
K pholon k mukhry pe shabnam ho jesy

Raseely se honto pe halka sa tabsum
K yaqoot se tapakta shed ho jesy

He us ki hasi me taranum bi kitna
Koi jal tarng khi bujhta ho jesy

Wo zulfon k khilny pe rukna hawa ka
Ghta asmaa ko chupaati ho jesy

Kanwal is ko takty hoy kho gya
K pathar ka koi mujasma ho jesy


best ghazal

Wehm esa he k


Wehm esa he k say se bhi dar lagta he
Jesy Har shakhs hi aseeb asar lagta he

Ajnabi logon ka qabza he meri galuon par
Shaher apna mujhy ghairon ka nagar lagta he

Kotwalon ki darandazi se mahfoz nahi
Ab to sehra se bhi badtar hamain ghar lagta he

Usko insaf ki suli pe latakta paya
Qazi sher k moh agar koi lagta he

Martaba jhd musalsal ne diya he mujh ko
Ja k manzil pe thrna bhi safar lagta he

Itni madhosh he ab ghalba batil se nazar
Kia zamana he yaha khir bhi shar lagta he

Wo khliel asal he bunyad bani Ismail
Ahle Toret ko kun aan Badar lagta he

best ghazal


Mery Ban Jao

www.urdupoetryimages.com


No comments:

Post a Comment