s http://go.ad2upapp.com/afu.php?id=1103110 Perfect Sad Poetry : Wasi shah best ghazal, Wasi shah ghazal poetry - Kangan

Friday, June 28, 2013

Wasi shah best ghazal, Wasi shah ghazal poetry - Kangan

Wasi Shah 

Kangan 

Kash mein tere haseen hath ka kangan hota, 
Toh barhe piyaar se chaahun se barhe maan k sath, 
Apni naazuq si kalaayi mein charhaati mujhko, 
Aur betaabi se frokht k khazaan lamhon mein, 
Tu kisi soch mein dubi joh ghumaati mujhko, 
Mein tere hathon ki khushbu se mehak sa jata,
 Jabb kabhi mood mein aakar mujhe chouma karti,
Tere honton ki mein hadat se dehek sa jata,
Raat ko jabb bhi tu neendon k safar per jaati,
Marmarein hath ka ek takqiya banaaya karti, 
Mein tere kaan se alag karkaye baatein kartah, 
Tere zulfon se tere gaal ko chuoma kartah,
 Jabb Bhi tu band Quba kholne lagti jaanaan, 
Apni aankhon ko tere husn se kheera kartah, 
Mujhko betaab sa rakhtah tere chaahat ka nasha, 
Mein teri rouh k gulshan mein mehakta rehta, 
Mein tere jism k aangan mein khankta rehta, 
Kuchh Nh yehi benaam sa bandhan hota,
Kaash mein tere haseen hath ka kangan hota.

No comments:

Post a Comment